Youtuber Celebrity kaise ban jate hain
Aaj ka daur Social Media ka daur hai. Esse bhut se youtuber hain jo aaj Celebrity mane jate hain. kyunki inki itni fan following hoti hai. log inhe dekhna pasand karte hain. Is kamyabi ko pane ke liye ye log mehnat karte hain, apne followers ke liye content create karte hain aur famouse ho jate hain.
In logo ki popularity ne hi logo ko ye vishwas dilaya hai ki agar siddat se mehanat karoge too youtuber ka career apko naam , paisa sab kuch de sakta hai.
Aap logo me se bhi bhut ka ye sapna hoga ki youtube me apna career banaye inke bhut dhero advantages log dekh sakte hain
Youtuber banne ke advantages
- Is kaam me aap apne khud ke boss hote.
- Koi time ki boundation isme nhi hoti.
- Apme ek confidence boost hota hai.
- Apni knowledge ko aap share kar sakte hain.
- Aapko jo pasand ho aap us tarah ka content bna sakte hain.
- Aap apni life enjoy kar sakte hain.
- Aap ache paise kama sakte hain.
- Agar apki video viral hoti hai too aap famous ho jate hain.
- Koi special degree apko nahi chahiye.
- Aap Jahan chahe waha rehkar ye kaam kar sakte hain.
- Aur esse hi anginat fayde iske hum sabko dikhte hain. Lekin youtuber bnna itna bhi aasan nhi hai. ye wo dariya hai jaha apko mehnat krni padegi. Acha content dena hoga . consistency dikhani padegi aur din rat lagkar apne aap ko sabit karna padega.
- Aaj ke time me ye ek essa brand ban gya hai jisme apko acha content banane ke liye bhut mehnat karni padti hai.
- Aaiye ab mushkil kamo ko aapko btati hu jiski wajah se bhut se Youtuber apna channe grow nahi kar pate.
- Isse pehle me apse ek bat puchna chahti hu . kya aap logo ko lagta hai youtube me jitne bhi log video banate hain we sabhi earning karte hain ?
- Nahi inme sabse jyada hote hain nye youtuber jinhe newbie bhi kaha jata hai. ye video bnate hain mehnat krte hain lekin iski earning nahi ho pati .
- Essa kyu hota hai iske bhut sare reasons hain kuch main reasons me yha aapko bta rahi hu.
Naye youtuber earn kyu nahi kar pate ?
- Achi video quality ki wajah se.
- Sound Quality ki wajah se.
- Content acha nhi hota.
- Editing ache se nahi karte
- Thumbnail chatchy nahi hota.
- Consistency nahi rakhte.
- Copy Paste karte hain .
- Youtube channel ki branding nhi krte.
- Ek theme par kaam nahi karte.
- Seo nahi samajh pate.
Islie Youtube me kamyab hone ka ek hi tareeka hai wo hai mehnat acha content banane ke liye.
aasha karti hu aap logo ko mera ye post pasand aya hoga. Har koi youtuber ban sakta hai ye jitna mushkil lagta hai. utna hi aasan bhi hai.
4 टिप्पणियाँ
Great blog. Time to work on my content, I do most of the bad things that new youtubers do.
जवाब देंहटाएंyes dear abhi wo time hai jab apko ek newbie ki tarah nahi ek perfectionist ki tarah start kaarna padega.
हटाएंNice
जवाब देंहटाएंThank you @manish
हटाएं